Student Reviews and Videos - Alumni

My journey to become a web developer | My Experience at MASIA Institute | Student Review

Mr. Luqman Akbar is our student of Full Stack Web Development 6 months course. In this video he is sharing his experience with masia institute. Currently he is working as a web developer in Islamabad. Asalam-o-Alikum! Mera naam Luqman Akbar ha aur main nai hal hi main masia institute sai full stack web development ka course complete kiya ha mera in kai sat bohat hi acha experience raha ha ap bhi ain aur agar ap karna chahatain hain aur end pai ya ha kai internship bhi ap kar sktain hain aur usi main course kai duran hi ap ko 4 sai 5 project miltain hain jin pai ap nai kame wagaira karna hota ha aur in kai jo professional teacher hain bohat hi professional aur tlented hain aur pora staff bhi kafi friendly ha aur bohat hi cooperative ha ap class kai ilawa bhi extra class lai sktai hain agar ap ko kisi bhi kisam ka koi issue ha to agar ap abhi tak decide nahi kar pai kai ap nai kon sa institute join karna ha to ain aur masia kai sat apni skills sikhain aur freelancing karain.

Tour to masia institute class rooms, web development and graphics designing classes

This is short tour to masia institute. Students waiting area, reception, graphics designing class and web development classroom. For further details contact on WhatsApp 03145110085

Agar ap graphics designing seekhna chahty hain | Best Computer institute in Rawalpindi Pakistan

Mubashir Zeb is one of our best students of graphics designing class in 2022.

Best Computer Institute in Rawalpindi Islamabad Pakistan | Hassan Nasir | MS Office 365 Ambassador

Mr. Hassan Nasir was a brilliant student of masia institute in 2008 - 09. He is currently working for Microsoft Products. We wish him all the best for his future endeavors

Front End Web Designing Course in 6th Road Rawalpindi Islamabad Pakistan | MASIA PHP Academy

Mr. Ahmed Faraz was our student of front end website designing 3 months course. He is now working as a freelancer. We wish him all the best for his future and earning. Ahmad Faraz YouTube review: Aslam o Alaikum, Mera naam Ahmad Faraz hai aur mny Masia Institute sy Front End Development ka course kia hai. Mera taaluq Faislabad sy hai aur mujhe Masia Institute ka pata lga unki website sy. Yeh kafi acha institute hai. Yahan k teacher kafi cooperative hain aur many kafi saray institutes visit kiye hain lakin Masia Institute mujhe sab sy zyada professional aur sab sy zyada acha lga is lye many faisla kia hai k main Masia Institute sy apna course complete karun. Masia Institute kafi acha hai aur Masia Institute main jo bhi course krta hai usko jo bhi certificate hai uski kafi value hai. Aur inky achi universities k sath bhi link hain. Main ap sub ko yeh advice deta hun kay agr ap nay course krna hai aur achay wala course krna hai tou ap Masia Institute ayein yahan ka office dekhein yahan ky teacher sy baat kren aur uskay baad yeh faisla kren Thank you!

Which computer institute is best for girls for web designing course & Why I selected masia

Ms. Kashaf was our student of Front End Web Designing in 2022-2023 This course includes HTML, CSS, Javascript, jQuery, Bootstrap, React Js.

Web Development Course in Rawalpindi Islamabad Pakistan | Asst. Director IT Nowshera Medical College

Respected Mr. Shaif Khan Asst. Director IT, Nowshera Medical College was our student in 2008-09. We wish him all the best for his future endeavors

Front End Web Developer Course in Pakistan | Best Computer Institute | Freelancer Review

Mr. Wasiq Ali was our student of Front End Web Designing Course in our 6th Road Rawalpindi branch. Main wasiq Ali as a front end web developer. Main ny masia institute sy web development ka course kiya hai. Yahan main ny HTML,CSS,bootstrap, yani ky pura jo front end web development ka course wo yahan sy kiya hai. Aur sir ishtiaq Masha Allah sy bohat acha parhaty hain. aur bohat conceptual tareeqy say unho ny har aik chez cover up krwai hai. aur issy phly masia ky any sy pehly agar main aik baat kehna chahu to main yeh zaror kehna chahuga ky masia main any sy pehly mainn chezo ko conceptual tareqy sy nahi samjh pa raha tha. Jo bhi main seekh raha tha wo as a ratta base thi mujhy nahi samjh aa raha tha. Yahan py any ky bad wo chezain jo hain conceptual way main way main samjh ayi. Aur main ap logo ko yahi recommend kruga ky ap log masia ayein bohat acha institute hai. aur sir ishtiaq bohat acha parhaty hain aik aik chez jo hain woh apko clear karwaingy. Hamain bhi sir Ishtiaq ny yeh chez clear karwai. aur bohat nafees insan hain masha Allah. Aur ap log jahan bhi rahein khush rahein. Thankyou, Allah Hafiz.

Learning Web Development from scratch with Sir Ishtiaq Ahmad Khan

Muhammad Nabeel from Dera Ismail Khan is our student of Full Stack Web development 6 months course. In this video he is describing environment of masia institute and learning process. HTML, CSS, Javascript, Bootstrap, React JS, PHP, Laravel, MySQL Training in Pakistan. Asalam-o-Alikum! Main masia institute ka student hun main masia institute sai web development ka course kar raha hun jis main sir ishtiaq nai hamain HTML,CSS,Javascript,Bootstrap,React JS, aur is kai sat sat PHP,Laravel bhi sikhain gai is main HTML,CSS aur Javascript,Bootstrap ya hum nai cover kiya ha aur abhi PHP kai project pai kame kar raha hain is kai bad do mahinai ka free internship ho ga jis main sir ishtiaq hamain task dain gai aur hum un task ko hal kar kai freelancing aur dosri job wagaira kai liya hum train hon gai is kai ilawa agar is course main koi bhi difficulty ya kush bhi ho to ap dobara is sai course kar saktai hain jis main ap ka koi charge wagaira nahi ho ga bilkul free course ho ga agar ap dobara karain gai is kai ilawa ap computer kai dosrai short courses bhi hain jis main graphic designing aur dosra computer short courses 6 mahinai kai aur 3 mahinai kai courses aur bhi hain is kai ilawa sir ishtiaq hamain bohat acha parhatain hain aur main reccommend karun ga agar ap bhi computer kai short courses jaisai kai web development ya graphic designing wagaira main interested hain to ek bar masia visit kar lain ap ko matlab positive response mila ga aur mera naam muhammad nabeel ha aur main zila daira ismail khan sai taluq rakhta hun wasalam.

Graphics Designing Course Introduction | Best Computer Institute for freelancing | Freelancer Review

Mr. Ammar from Azad Kashmir was our student of Graphics Designing class in 2022. We wish him all the best for his future endeours. Assalam o Alikum! Mera naam muhammad ammar hai main pimbar azad kashmir sai taluq rakhta hun aur aj main bohat hi baaitmad aur bohat hi purwaqar idarai kai oper review dainai ja raha hun main khud bhi is idarai sai taluq rakhta hun aur is idarai ka naam hai masia institute jo kai Rawalpindi main 6th road kai oper majood hai agar ap freelancing seekhna chahatain hain agar ap graphic designing seekhna chahatain hain web designing seekhna chahatain hain ya phr jo computer languages hain un main say koi language ap seekhna chahatain hain to ap zaroor visit karain masia institute is time Rawalpindi main balkai Rawalpindi, Islamabad, Jahlam aur yai jo ilakai hain in main sab say acha institute ha aur mainai khud masia institute pay anai say phalai bohat say institute visit kiya thai mainai sari research khud ki thi mujha kisi nai recommend nahi kiya tha kai masia institute main jao mainai sari research khud ki thi barai hi taqreeban 2 say 3 month kai bad mainai masia institute ka score kiya tha aur yahan pay anai kai bad mujha bohat kushi hui qkai jab main sir ishtiaq sab say mila aur unho nai mujha tora sa motivate kiya mujha tora samjhaya merai doubt clear kiya aur iskai ilawa jab staf say mila to wo aur zayada acha tha aur unho nai mujha sahi guide kiya aur aj InshAllah main freelancing kar raha hun aur job bhi kar raha hun ek jaga pay to bs ap ko main yahi recommend karna chahata hun kai masia institute main agar ap ko koi doubt hai ya ap nai khai suna hua ha kai yaha pay frad hota hai ya paisay dai kai chor daitain hain aisa kush hota hai to yahan pay aisa kush nahi hota ap 3 month ya 6 month kai kisi bhi course main inrole hon agar ap ko samajh nahi ati to ap kai pass dobara retake ka option majood hai kai ap dobara jitni bar marzi hai ap us cheez ko parh saktain hain usi fees kai ander ap us cheez ko samajh saktain hain aur ap ko koi doubt hai to ap kisi bhi time teacher say ya staff say rabta kar saktain hain aur ap kai doubts clear kiya jatain hain aur second most important bat hai jo wo hamarai sir hain sir ishtiaq sab Allah pak unko zindagi dai unho nai masia institute ko ek bohat hi acha mukam da diya hai jo students yahan pay parhtain hain aur un ko moqa diya jata hai kai wo yahan pay kame karain aur aisa koi institute mainai aj tak nahi suna kai jo kud parhata ho aur sat students ko is kabil samajhta ho kai sat apnai pass kame pay bhi rakha to iskai liya main highly highly recommend karta hun kai ap ek bar zaroor yai ap ki choice hai apni lakin ap ek bar zaroor masia institute ko visit karain aur sir ishtiaq sab say milain aur InshAllah ap ko yahan ka enviroment bohat acha lagai ga aur main apni bat main yai karna chahata hun kai mainai kiya seekha to graphic designing ka course mera aj complete ho chuka ha to uskai liya main yai khana cha raha hun kai photoshop, illustrator, adobe illustrator aur corel draw main meri bohat achi grip a chuki hai mujha bilkul kush nahi ata tha mujha programme install nahi karna ata tha main iskabil ban chuka hun kai main acha kame kar raha hun freelancing main bhi acha kame kar raha hun aur wasai bhi ek jaga main job bhi kar raha hun so masia institute pindi main nahi balka Islamabad aur pora yai jo area hai is main best institute hai ap ko bohat say institute milain gai yahan pai dud walai coffee walai bohat say milain gain ap nai un pay trust nahi karna qka mainai kud sab ko dakha hua hai sab pay visit kiya hua hai to aisa kush nahi hai sirf ap ka paisa aur time zaya ho ga aur agar ap waqai hi time ki value kartain hain aur ap kai pass limitted resources hain meri tarhan to ap zarur masia institute visit karain thanks alot masia institute. https://masia.pk https://facebook.com/masiapk https://twitter.come/masiainstitute https://instagram.com/masiainstitute #masiainstitute #pakistan #freelancing #islamabad #education #shortcourse #careeradvice #careerselection #DigitalMarketing #summer #ramzan #AdobeIllustrator #photoshopcourse #pakistan #iiui #iiuigirls #onlineearning #viral

Basic Computer Microsoft Office Course for Matric and F.A F.Sc. students | Review in Urdu Hindi

Jab mainai yahan is idarai ka visit kiya to sab sai behter paya to maianai MS Office main basically window operate karna sikha aur is kai bad MS Word,Excel aur Powerpoint sikha mainai Ms word main professional document format sikha aur MS Excel main mainai data and classes kai barai main sikha powerpoint main mainai presentation kai barai main sikha to us kai bad merai sir ishtiaq hain main un sai full satisfied hun bohat achai teacher hain wo main is kai ap ko bhi ya reccommend karta hun kai ap is idarai ka visit karain aur basically yahan pai bohat sarai institute hain lakin best i think so masia institute hi ha Thank you so much.

Why to choose masia institute | Best computer institute in Rawalpindi Islamabad

AssalamuAlekum! Mera naam Baseerat Balouch hai , Aur mai MASIA Institute ki student ho. Mai yaha se Graphics Designing ka course kar rahi ho and believe me mai kafe mutmayen aur khush ho. Kyun kay ye bohut hi best institute hai khas tour par agar IT ki field hogi, Designing ki field hogi ya aur bhi aise fields jo MASIA Institute karwata hai bohat hi professional aur trained tareeqay se. Isi Institute ki hum agar teacher se le ke agar staff tak ki baat kary to teachers bohat hi educated aur bohat hi professional tareeqy se parhaaty hai bacho ko. En ka jo way of teaching hai wo bohat hi best hai bohat hi acha hai and they are always ready to help, they are always ready to teach the student and help the student whenever he or she needs. Esi tarah agar hum staff ki baat karain to wo bohat hi polite aur acha hai, jo log aap ko reception pay milaingy ye log ap ko buhot hi ache tareeqay se deal karty hain, they do not just say the things to the students, the more they listen to the student that is the best thing. Muje jaha Sir parhaty hain Sir Ishtiaq Ahmad Khan sab en ke bare me mai ye kahongi ke ye ek bohat hi submissive personality ke maalik hai aur ye students ko siraf graphics designing nahi sikhaty balky ek aisa professionalism sikhaaty hain jo os ko ek acha professional banda bana sakta hai jo ke os ko aagy future mai kaam asakta hai. Aur Environment to yahan par bara hi cool hai Aur bohat hi acha hai, when you studying in this institute you just seem you are studying in the family, everybody is seems here like a family member, har banda ap ko bohat hi achi bohat hi polite aur bohat hi family member ki tareeqy se treat karta hai. Aur girls ke le specially me ye baat do dafa kahongi ke girls ke lea bohat hi acha aur safe environment hai, so at the end I would just say ke agar ap ne IT ki field join karne hai graphics ki ya kesi bhi qisam ki field join karni hai so do join MASIA Institute, It is the best Institute Education ek professional education detay hain jo ke ek student ke lea bohat hi best hai. So do come and join MASIA Institute the way I am joining and I am studying so Thank you

React Js Web Developer Course in Pakistan

Mr. Jawad is our student of front end web designing course in our 6th road branch. This course covers HTML CSS Javascript jQuery React Js Responsive Website Templates and much more. Asalam-o-Alikum! Mera naam ha jawad aur abhi maiani recently masia institute sai web designing ka course end kiya ha maianai front end ka course kiya ha aur is main ap ko HTML,CSS,Bootstrap,Javascript aur Jquery sikhai jati ha jo kai bohat hi achai andaz sai in ka parhanai ka tariqa ha specially sir ishtiaq jin kai pas bohat hi zayada exposure ha wo students ko barai achai tariqai sai handle kartai hain aur isi kai sat sat agai jo masia institute ki jo manegement ha wo kafi cooperative ha jitnai bhi log web designing ka course karna chahatain hain main unhain ya hi reccommend karun ga kai masia institute ain na kai sirf web designing web development balkai is kai sat sat baki courses bhi ap ko yahn mil jain gai aur yahan par ap ko baki bhi facilities provide ki jatin hain bohat hi acha aur friendly cooperative ha mind set in ka to jitnai bhi sikhna chahatain hain main unhain masia institute ka reccommend karun ga ap sab ka bohat bohat shukriya (Allah Hafiz).

Is Graphics Designing Good for Freelancing | Quick Start Guide | Best Computer Institute in Pakistan

Ms. Jawaria and Mr. Mubashir are our shining stars from graphics designing batch in 2022. They have studied Adobe Illustrator, Adobe Photoshop, Corel Draw, Adobe InDesign, Urdu Inpage, HTML, CSS and web designing in our six months graphic designing course in 2022 - 2023. They will guide you through this video how you can start your graphics and web designing career in freelancing. Asalam-o-Alikum! Graphic designing ek aisi skill ha jis main ap bohat hi kam waqat main freelancing start kar saktain hain na sirf freelancing kar sktain hain balkai on ground bohat sari jobs ap ko bohat asani sai mil jati hain is feild main anai kai liya ap kai pass kisi bhi degree ka hona lazmi nahi lakin is ka matlab ya nahi kai ap chand tutorials dakh kai is feild main in ho jain kisi bhi feild main kamayab honai kai liya ap kai pas ek achai mentore ka hona zaruri ha and we are lucky kai mujha sir ishtiaq jaisai sir aur masia institute jaisa plateform mila jinho nai humain bohat support kiya jinho nai hamain 6 mah kai ander Adobe illustrator,Adobe photoshop,Coreldraw,Adobe Indesign aur HTML,CSS na sirf ya karwaya balkai hamain internship bhi karwai ji bilkul aur hamain in module main jo cheezain sikhai gai thin wo visiting cards ki designing brochure ki designing signboard designing aur colour theory photo editing and mixing aur is kai ilawa jo hamain sikhaya gya tha wo web designing thi jis main hamain kafi sari mushkilat ain thin jis main hamain free retakes provide kiya gai thai aur free retakes ki waja sai hamari jo grip ha wo mazeed improve hui thi aur hamain bohat kush sikhnai ko mila tha main sir ishtiaq aur masia institute ka bohat shukar guzar hun kai in nai hamarai sat bohat cooperate kiya aur agar girls kai laihaz sai is plateform ki bat ki jai to ya bilkul save ha girls kai laihaz sai girls ko yahan seperate classes provide ki jatin hain masia institute ko location ko dundna asan hai qka main 6th road metro station kai pass dubai plaza kai bilkul opposite side pai ha aur last main hum yahi reccommend karain gai kai ap bhi masia institute visit karain aur apna addmission yahan pai karwain aur apnai career ka agaz karain.

My Experience at masia institute Rawalpindi in Pashto Language

Mr. Muhammad Talha from Khyber Pukhtunkhwa was our student of Basic IT and MS Office course. He is sharing his experience at masia institute in Pashto language.

Graphics Designing Digital Marketing for Girls in Pakistan | Adobe Photoshop Illustrator Corel Draw

Ms Nayab was our student of graphics designing class in 2022. We wish her all the best for her future endeours. #freelancingcourse #fiverr #upwork #islamabad

Full Stack Web Developer Course in Rawalpindi Islamabad Pakistan | Sohaib Ahmad | MASIA

Mr. Sohaib Ahmad was our student of Full Stack Web Development Course in 2021. He is now working in a Software House in Islamabad. We wish him all the best for his future endeavors. Sohaib Ahmad YouTube review: Asslam.I Alaikum mara name Mr.Sohaib Ahmad ha. ma na yaha say Full Stack and web Development ka course complete kaya ha yahan ka jo learning environment bohat acha ha. yaha ky jo sir ha sir Ishtiaq Ahmad khan vo bohat  cooperative ha unhon na hamara sath bhaiyon jas salok kia ha jasa ap bhaiyon ka har problem solve kar ta ha vasa hi mara sath acha salook kiya. hamari project  or hamari work ma bi hamara sath bohat help ki ha. mana jo Full Stack Web Development ka course kiya ha os ma front End Designing ma moja HTML5, CSS3, Javascript, jQuery, Responsive Website Design, SEO Techniques. Aur backend main inhon ny humein PHP, Laravel, Framework of PHP, aur database mysql. Hamara jo project tha vo hamara sath la ka chalein ha HTML,  Ka course finish hota tha to HTML  ka project mil jata tha jab hamara jQuery ,ka course jab hatam hova to yani front End ka course hatam hova to onhon na hama ak pora project dadiya isitrah backend ma jo bohat complex concepts ha vo bohat easy way ma understand kar vaye os ka projects sir na hama diya jo ka hama karna tha bohat asani hue as compared to madad  bilkul be na karta to hamara ma keh sakta ho ka ak ham line of code bi na likh sakta. yaha pa aik saholat ya daki ha ka ma dorana course chor ka chala gaya tha like around two month ya three months vapis ana pa ma na go fees ada ki hovi thi osi kaander sir na moja free retake karvaya sir na bilkul vasa salok kiya ba shak hama osi retake ma sir na normal students ki tarah. To ma ap sub ko recommend karo ga ka ager ap na time or money vast nahi karna or ap na professional skills sekhni masia.institute ka visit kara . JazakAllah Khair. Asslam o Alikum !

Starting Website Development from Zero | Mubashir from Nowshera | Student Review

Mr Mubashir was our student of Web Development 624 batch. Our full stack web development course contents are: HTML, CSS, Javascript, Bootstrap, jQuery, React JS, PHP MySQL, Laravel and 3 projects.

Adeel Wazir | Senior Graphic Designer | Team Manager | Learn Graphic Designing | Motivational

Mr. Adeel Wazir is a student of Sir Ishtiaq Ahmad Khan. He studied graphic designing and website development in 2015 - 2016. He is currently serving as Team Manager and Snr. Graphics Designer in a private firm of Islamabad. We wish him all the best for his future endeavors

Best Institute of Pakistan | From a Boxer to Full Stack Web Developer | Motivational Success Story

Our student Mr. Hisham Muhammad is sharing his experience of learning website development course at MASIA Institute Rawalpindi

How and Where to learn Web Development | Course Process 6 months | Detailed Explanation

Mr. Ibraheem was our student of Full Stack Web Development Course in our 6th Road Rawalpindi branch. This course contains HTML 5, CSS 3, Javascript, React Js, jQuery, Bootstrap, PHP, MySQL, Laravel, SEO and Internship. First three months are for Front End Designing and in second half of the course we work on Back End Development and also start internship at MASIA Institute. Asalam-o-Alikum! Mera naam ibraheem ha aur main ek web development hun mainai masia institute sai course kiya tha yahan pai internship ki jis main meri grooming hui personality grooming aur Alhamdulillah aj main is kabil hun kai freelancing kar sakun ya kisi software house main easily job lai sakun yahan masia institute main ya khas bat ha kai yahn course content bohat zayada hain hum nai front end main HTML,CSS,Javascript ki languages parhin is kai ilawa 3 frame works thai jis main Bootstrap,React JS aur is kai ilawa hum nai Jquery parhi back end ki taraf hum nai PHP us ka frame work laravel aur data base MySQL aur maria db parhi thi is kai ilawa 2 months ki internship bhi hoti ha jo kai kafi mafeed hoti ha aur us main ap ki personality grooming ki jati ha main main bazahir khud interni rah chuka hun jo classes mujh sai rah chuki hotin thi courses main wo dubara retake kai liya arrange bhi ho sakti hain saturday sunday aur is kai ilawa meri personality grooming hui aur mazeed grip coding par hui retakes ki ya tarteb hoti ha kai ap haftai itwar ko classes arrange kar sktain hain akar ap mazeed exercises bhi kar saktain hain advance exercises is kai ilawa ap ko koi pora module nahi samjh aya to wo ap wo bhi kar sktain hain aur pora ka pora course ap ki atandence achi ha 90% sa above ha to ap porai ka pora course bhi doubara free of cost kar saktain hain ap ko seat da di jai gi is ki location bohat achi ha bilkul dubai plaza kai samnai hai aur metro station bhi bilkul isi kai sat ha to taqreban porai Pindi aur Islamabad sai ap bohat asani sai yahan a saktain hain ya main 6th road par ha yahan kai teacher ishtiaq ahmad khan shab ka 18 sal sai zaid experience ha aur bohat arsai sai wo teach kar raha hain aur main reccommend karta hun kai har student yahan par masia institute ai takai jis tarhan shuru main mujha website ka kush ilm nahi tha aur aj Alhamdulillah main design bhi kar sakta hun develop dynamic website bhi bana sakta hun to main reccommend karta hun ap masia institute ain yahan course karain InshAllah ap ko bohat faida ho ga.

HTML CSS JavaScript Bootstrap jQuery Bootstrap all in one Front End Web Designing Course in Pakistan

Asalam-o-Alikum! Mera naam Ahmad Mujtaba ha aur main masia institute sai front end web development ka course kar raha hun abhi hum nai jo languages sikhin hain un main HTML ha CSS,Javascript aur Bootstrap ha is sai agai hamarai course main React bhi a rahi ha aur yahan ka jo teaching staff ha wo bhi bohat acha ha sir ishtiaq jo hain wo hamarai teacher thai unhon nai hamain bohat hi help ki aur bohat cooperative teacher hain is kai ilawa jo yahan ka enviroment ha wo bohat acha ha ap ko ider sai bohat kush sikhnai ko milai ga to main ap ko reccommend karun ga kai ap masia institute sai course karain aur apni skills ko enhance karain.

Classroom Visit | Tour to MASIA Institute 6th Road Rawalpindi

Lets meet with some of our students from different courses. They are practicing after class in our computer lab. And sharing their experience here at masia institute.

Microsoft Office Basic Computer Course for Female Students in Pakistan

#masiainstitute #webdevelopmentcourse #freelancingcourse #islamabad #basiccomputer #Msoffice

These are some of the video reviews and success stories of our brilliant students. These students have started their career with masia institute and are now successful entrepreneurs, web developers, graphic designers and freelancers in Pakistan and abroad. MASIA Institute wish them all the best for their future endeavour.